Na rona pasand hai na sehna gham
Roney se kab hoye hai kisi ke gham khatam
Par dil toota hai toh gham toh hoga hai
Gham hua hai toh aankho ko namm hona hoga hi

Woh rona hi kya hai jis me gham na ho
Aur woh mohabbat hi kya jisme rona na ho
Raaton ko sisak sisak ke hum bhi roye, par mohabbat me roye hai
Tumse juda hone ke liye nahi, tumse milne ke liye roye hai

Tum aankh toh mai behta uska aansu hu
Alag hoke hi sahi par tumse hi toh mai banta hu
Ye aansu nahi tumse judayi ka sabab hai
Bhari huye ho tum mujhse, is hi liye dikhta kuch kamm hai

Tum toh iklautey ho mere, juda kar besahara hi bana diya
Jal jata hai par kabhi dekha hai chodte parwaane ko apni shama
Hum bhi jal jayengey par tera daaman nahi chodenge
Khatam hoke hi sahi tera hi deewana log humey bolenge

Jal hi toh rahey hai halke halke tumse door hoke, par sakoon mil raha hai
Meri raakh ka kala rang kajal ban tumhari aankho me jo khil raha hai
Jalke bhi tumhara hi noor badha rahey hai, aisa naseeb sabka kahan
Aansu ban baha jo tumhare gaalo pe ab, apna nishaan mai chode chala

Aansu toh chehre se ponch logey, kajal ka rang kahaan hatega
Kala hi sahi, woh rang humari mohabbat ki dastaan kahega
Sab poochengey tumse, kyu ponch rahey ho apne aansu, inhe behne do
Kab se kehni hai humey tumse jo baatien, ab in aansuoo ko hi kehne do

Tum toh guroor ho humara, tumhe rooney du, yeh bhi toh mumkin nahi
Roney se kuch na badlega, yeh baatien hai tumne hi kahin
Jab hongey hum juda toh yakeen hai ke tum roogey, bahut bahut roogey,
Hai masoomiyat pe tere shaq nahi, hongey tere par woh aansu humare liye hongey

Yehi pehchaan hai humari, tum mujhse mai tumse hi hu
Matt muh modo khud se, matt ho khud se alag yoon
In aansuoo ko sambhaal ke rakho, yeh beshkeemati hai
Bhoolo matt, gham me hi nahi khushiyo me bhi hoti inki ginti hai

Ho gayi hain bhool, chalo, jaaney dete hai
Kya banta bigadta hai duniya ka, woh toh sirf kehte rehte hai
Ped lagaya hai jo humne, khaad pani bhi hum hi daalengey
Phal bhi hum hi khayengey, kaantey bhi hum hi jhelengey

Aayega fir who sama, jab nami sirf aankho me nahi galey me bhi hogi
Farq sirf itna hai, tab tum mujhse door nahi, mere seeney se lipti huyi hogi
Us hi ped ke neeche baithe hongey jo humney hi khilaya tha
Hai abhi patjhad toh kya, baharo ka mausam phirse laut ayega

Share: